Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do


Kabi Tum Apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do

Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do

Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga?Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do


Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do 


Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Muda'wa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do