Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hun Main
Sab ke dil se utar gayaa hun main
Kaise apni hansi ko zabt karun
Sun raha hun ke ghar gaya hun main
Kya bataaun ke mar nahin pata
Jiite ji jab se mar gaya hun main
Ab hai bus apna samna darpesh
Har kisi se guzar gaya hun main
Woh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
Sar-ba-sar aap par gayaa huN main
Ajab ilzaam hun zamane kaa
Ke yahan sab ke sar gaya hun main
Kabhi Khud tak pahunch nahin paya
Jab keh vaaN umr bhar gayaa hun main
Tum se jaanan mila hun jis din se
Be-tarah, Khud se dar gayaa hun main
Kuu–e–jaanan men sog barpa hai
Ke achanak, sudhar gayaa hun main