Badan Ke Donon Kinaaron se Jal Rahaa Huun Main
Ke chuuh rahaa huuN tujhe, aur pighal raha hun main
Tujhi pe Khatm hai jaanan mire zaval kii raat
Tu ab tulu bhi ho jaa, ke Dhal raha hun main
Bula raha hai miraa jaama-zeb milne ko
To aaj pairahan-e-jaan badal rahaa hun main
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
Hawa-e-taazaa! tire saath chal rahaa hun main
Main Khvaab dekh rahaa hun ke vo pukaartaa hai,
Aur apne jism se baahar nikal rahaa hun main
